Friday 20 April 2012

Pyar ka pehla khat - Jagjit Singh


Pyar ka pehla khat likhne me waqt to lagta hai,
Naye parindo ko udne mein waqt to lagta hai...

Jism ki baat nahi thi un ki, dil tak jana tha,
Lambi duri tai karne me, waqt to lagta hai..

Gaanth agar lag jaye to phir, rishte ye dori,
Lakh kare koshish khulne me, waqt to lagta hai..

Hamne ilaaz jokhme dil ko, dhar liya lekin,
Gahre zakhmo ko bharne me, waqt to lagta hai. ..

Mujhko yaqin hai - Jagjit Singh

Mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi -2
jab mere bachpan ke din the, chaaNd mein pariyaaN rahti thi
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi

Ek ye din jab apnoN ne bhi hamse naataa tod liyaa -2
ek vo din jab peD ki shaaKhen bojh hamaaraa sahti thi
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi

Ek ye din jab saari saDken roothi roothi lagti hain -2
ek vo din jab aao khelen saari galiyaan kahti thi
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi

Ek ye din jab jaagi raaten deevaaron ko takti hain -2
ek vo din jab shaamoN ki bhi palken bojhal rahti thi
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi

Ek ye din jab laakhoN Gham aur kaal padaa hai aansoo kaa -2
ek vo din jab ek zaraa si baat pe nadiyaan bahti thi
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi
jab mere bachpan ke din the, chaaNd mein pariyaan rahti thi
mujhko yaqin hai sach kahti thi jo bhi ammi kahti thi .

Mujhe tumse mohabbat - Jagjit Singh

Mujhe tumse mohabbat ho gayi hai
mujhe tumse mohabbat ho gayi hai
yeh duniya khoobsurat ho gayi hai
mujhe tumse mohabbat ho gayi hai

Khuda se roz tumko maangta hoon
khuda se roz tumko maangta hoon
khuda se roz tumko maangta hoon
meri chahat ibaadat ho gayi hai
meri chahat ibaadat ho gayi hai
yeh duniya khoobsurat ho gayi hai
mujhe tumse mohabbat ho gayi hai

Woh chehra chaand hai aankhen sitaaren
woh chehra chaand hai aankhen sitaaren
zameen phoolon ki jannat ho gayi hai
zameen phoolon ki jannat ho gayi hai
yeh duniya khoobsurat ho gayi hai
mujhe tumse mohabbat ho gayi hai

Bahut din se tumhe dekha nahi hai
bahut din se tumhe dekha nahi hai
bahut din se tumhe dekha nahi hai
chale bhi aaon muddat ho gayi hai
chale bhi aaon muddat ho gayi hai
yeh duniya khoobsurat ho gayi hai
mujhe tumse mohabbat ho gayi hai..

Mohabbaton mein dikhaave ki - Jagjit Singh



Mohabbaton mein dikhaave ki dosti na mila
mohabbaton mein dikhaave ki dosti na mila
agar gale nahi milta toh haath bhi na mila
agar gale nahi milta toh haath bhi na mila
mohabbaton mein dikhaave ki dosti na mila...

Gharon pe naam the naamon ke saath auhade the 
gharon pe naam the
gharon pe naam the naamon ke saath auhade the 
bahut talaash kiya koi aadami na mila
bahut talaash kiya koi aadami na mila
mohabbaton mein dikhaave ki dosti na mila..

Tamaam rishton ko main ghar pe chhod aaya tha
tamaam rishton ko main ghar pe chhod aaya tha
phir uske baad mujhe koi ajanabi na mila
phir uske baad mujhe koi ajanabi na mila
mohabbaton mein dikhaave ki dosti na mila...

Bahut ajeeb hai yeh kurbaton ki duri bhi
bahut ajeeb hai
bahut ajeeb hai yeh kurbaton ki duri bhi
woh mere saath raha aur mujhe kabhi na mila
agar gale nahi milta toh haath bhi na mila
mohabbaton mein dikhaave ki dosti na mila....

Mere jaise ban jaoge - Jagjit Singh

Mere jaise ban jaoge
Tab ishq tumhe ho jayega
Deewaron se takarooge
Jab ishq tumhe ho jayega

Haar baat gaura kar loge
Mannat bhi utara kar loge
Taabeeze bhi bhandaoge
Jab ishq tumhe ho jayega

Tanhaiye ke jhulle khologe
Haar baat purani bhuloge
Aaine se tum ghabaraoge
Jab ishq tumhe ho jayega

Jab suraj bhi kho jayega
Aur chand kahin soo jayega
Tum bhi ghar dher se aooge
Jab ishq tumhe ho jayega

Bechaini bad jayege
Aur yaad kiski ayegi
Tumhari ghazale gaaoge
Tab ishq tumhe ho jayega

Mere jaise ban jaoge
Tab ishq tumhe ho jayega
Deewaron se takarooge
Jab ishq tumhe ho jayega 

Koi Fariyaad - Jagjit Singh

Koi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Koi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koi Baat Kahi Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baaki Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise

Jaanta Hoon Aapko Sahare Ki Zarurat Nahin
Main Sirf Saath Dene Aaya Hoon

Har Mulaakat Pe Mehsoos Yehi Hota Hai
Har Mulaakat Pe Mehsoos Yehi Hota Hai
Mujhse Kuch Teri Nazar Pooch Rahi Ho Jaise

Raah Chalte Huve Aksar Yeh Ghumaan Hota Hai 
Raah Chalte Huve Aksar Yeh Ghumaan Hota Hai 
Woh Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise
Woh Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise

Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyon Ka Safar
Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyon Ka Safar
Zindagi Tej Bahut Tej Chali Ho Jaise
Zindagi Tej Bahut Tej Chali Ho Jaise

Is Tarah Pehron Tujhe Sochta Rehta Hoon Main
Is Tarah Pehron Tujhe Sochta Rahta Hoon Main
Meri Har Saas Tere Naam Likhi Ho Jaise
Meri Har Saas Tere Naam Likhi Ho Jaise

Koi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baaki Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise..

Koi ye kaise bataye - Jagjit Singh

koi ye kaise bataaye ke wo tanahaa kyon hai
wo jo apanaa thaa, wahee aaur kisee kaa kyon hai
yahee duniyaan hain to fir, ayesee ye duniyaan kyon hai
yahee hotaa hain to, aakhir yahee hotaa kyon hai?

ik jaraa haath badhaa de to, pakad le daaman
us ke seene mein samaa jaaye, humaaree dhadakan
itanee kurbat hain to fir faasalaa itanaa kyon hai?

dila-ye-barabaad se nikalaa naheen abatak koee
ik loote ghar pe diyaa karataa hain dastak koee
aas jo toot gayee hain fir se bandhaataa kyon hai?

tum masarrt ka kaho yaa ise gam kaa rishtaa
kahate hain pyaar kaa rishtaa hain janam kaa rishtaa
hai janam kaa jo ye rishtaa to badalataa kyon hai? 

Kiska Chehra Ab main Dekhoon - jagjit Singh


"Chaand bhi dekhaPhool bhi dekhaBaadal bijli titli jugnuKoi nahin hai aisaTera husn hai jaisaTera husn hai jaisa"

Meri nigaah ne ye kaisa khwaab dekha hai
Zameen pe chalta hua mahathab dekha hai

Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Kiska chehra
Kiska chehra ab main dekhoon 
Tera chehra dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar

Neend bhi dekhi
Khwaab bhi dekha
Neend bhi dekhi
Khwaab bhi dekha
Choodi bindiya darpan khushboo
Koi nahin hai aisa
Tera pyaar hai jaisa
Tera pyaar hai jaisa

Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Kiska chehra
Kiska chehra ab main dekhoon 
Tera chehra dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar

Rang bhi dekha
Roop bhi dekha
Rang bhi dekha 
Roop bhi dekha
Rasta manzil saahil mehfil
Koi nahin hai aisa
Tera saath hai jaisa
Tera saath hai jaisa

Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Kiska chehra
Kiska chehra ab main dekhoon 
Tera chehra dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar

Bahut khoobsuat hai aankhein tumhaari
Bana dijiye inko kismat hamari
Usay aur kya chaahiye zindagi mein
Jise mil gayi mohabbat tumhari 

Khumari chad ke utar gayi - Jagjit Singh

Khumari chad ke utar gayi
zindagi yun hi gujar gayi - 2
kabhi sote sote kabhi jaagte
khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
apni toh saari umar gayi - 2
khumari chadh ke utar gayi
zindagi yun hi gujar gayi

Rangeen bahaaron ki khwaahish rahi
haath magar kutch aaya nahi - 2
kehne ko apne the saathi kai
saath kisine nibhaya nahi - 2
koi bhi hamsafar nahi 
kho gayi har dagar kahi
kabhi sote sote kabhi jaagte
khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
apni toh saari umar gayi - 2
khumari chadh ke utar gayi
zindagi yun hi gujar gayi

Logon ko aksar dekha hai
ghar ke liye rote hue - 2
ham toh magar beghar hi rahe 
gharwalon ke hote hue - 2
aaya apna nazar nahi - 2
apni jahaa tak nazar gayi
kabhi sote sote kabhi jaagte
khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
apni toh saari umar gayi - 2
khumari chadh ke utar gayi
zindagi yun hi gujar gayi

Pehle toh ham sun lete the
shor mein bhi shehnaaiya - 2
ab toh hamko lagti hai 
bheed mein bhi tanhaaiya
jeene ki hasrat kidhar gayi - 2
dil ki kali bikhar gayi
kabhi sote sote kabhi jaagte
khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
apni toh saari umar gayi - 2
khumari chadh ke utar gayi
zindagi yun hi gujar gayi 

Kahin kahin se har chehra - Jagjit Singh

Kahin kahin se har chehra - Kahin kahin se har chehra  
Tum jaisa lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai, aisa lagta hai..

Aisa bhi ek rang hai, mm mm mm, oh oh
Aisa bhi ek rang hai
Jo karta hai baatein bhi
Jo bhi isko pehan le
Voh apna sa lagta hai
Tumko bhool na payenge hum
Aisa lagta hai
Kahin kahin se har chehra
Tum jaisa lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai, aisa lagta hai


Sa sa sa ga ga ga ga pa pa pa, aah - 2
Re re re re re ma
Ma pa ga, ga ma re, re ga sa

Aur to sab kuch theek hai lekin - 2
Kabhi kabhi yunhi chalta phirta shaher
Achaanak, achaanak tanha lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai
Kahin kahin se har chehra
Tum jaisa lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai, aisa lagta hai


Abhi yun milte hain humse phool chameli
Jaise inse apna koi -
Jaise inse apna koi 
Rishta lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai
Kahin kahin se har chehra
Tum jaisa lagta hai
Tumko bhool na paayenge hum
Aisa lagta hai, aisa lagta hai
Oh ho, aah aah aah, oh ho ho ho ho, oh
Oh oh, aah aah aah aah..

Tuesday 17 April 2012

Teri khushboo Me Base Khat - Jagjit Singh

















Teri khusboo mai basey khat mai jalaata kaise
Pyar mai doobe hu-e khat mai jalaata kaise

Jinka har lafz mujhe yaad hai paani ki tarah
Yaad they mujko jo paighaam-e-zubaani ki tarah
Mujhko pyaare they jo anmol nishani ki tarah
Tere khusboo mai basey khat mai jalaata kaise
Pyar mai doobe hu-e khat mai jalaata kaise

Toone duniya ki nigahon se jo bachkar likhi
Saal dar saal mere naam barabar likhi
Kabhi din mai toh kabhi raath ko uthkar likhi
Tere khusboo mai basey khat mai jalaata kaise
Pyar mai doobe hu-e khat mai jalaata kaise
Tere haathon ke likhe khat mai jalaata kaise
Tere khat aaj main Ganga mai bahaa aaya hoon
Aag behte hu-e paani mai laga aaya hoon...

Wo kagaz ki Kashti - Jagjit Singh


Ye daulat bhi le lo, ye shoharat bhi le lo
bhale chhiin lo mujhase merii javaani
 magar mujhako lautaa do bachapan kaa saavan
vo kaagaz kii kashtii, vo baarish kaa paanii


muhalle kii sabase nishaanii puraanii
vo budhiyaa jise bachche kahate the naanii
vo naanii kii baaton mein pariyon kaa deraa
vo chahare kii jhuriryon mein sadiyon kaa pheraa
bhulaae nahiin bhuul sakataa hai koi
vo chhotii sii raaten vo lambii kahaanii


kadii dhuup mein apane ghar se nikalanaa
vo chidiyaa vo bulabul vo titalii pakadanaa
vo gudiyaa kii shaadii mein ladanaa jhagadanaa
vo jhuulon se giranaa vo gir ke sambhalanaa
vo piital ke chhallon ke pyaare se tohafe
vo tuutii hui chuudiyon kii nishaanii


kabhii ret ke unche tiilon pe jaanaa
gharaunde banaanaa banaake mitaanaa
vo maasuum chahat kii tasviir apanii
vo kvaabon khilaunon kii jaagiir apanii
na duniyaa kaa gam thaa na rishton ke bandhan
badii khuubasuurat thii vo zindagaanii...

Jhuki Jhuki Si Najar - Jgajit Singh

Jhuki Jhuki si najar bekaraar hain ke naheen
dabaa dabaa saa sahee dil mein pyaar hain ke naheen

Tu apane dil kee jawaan dhadakanon ko gin ke bataa
meri tarah teraa dil bekaraar hain naheen

Wo pal ke jis mein mohabbat jawaan hotee hain
us ik pal kaa tuze intajaar hain ke naheen

Teri ummeed pe thhukara rahaa hoo duniyaan ko
tujhe bhee apane pe ye aitabaar hain ke naheen....

Jab Samne Tum - Jagjit Singh

"Aaina dekh ke bole yeh sanwarne wale
Ab to be-maut marenge mere marne wale"
Dekhke tumko hosh mein aana bhool gaye
Yaad rahe tum aur zamaana bhool gaye
hm mm, hm mm mm mm
jab saamne tum
hm mm, hm mm mm mm

Jab saamne tum, aa jaate ho
Kya jaaniye kya ho jaata hai
Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai
Kya jaaniye kya ho jaata hai

hm mm, hm mm mm mm -2

Chaaha tha yeh kahenge
Socha tha socha tha woh kahenge
Aaye woh saamne to, kuchh bhi na keh sake
Bas dekha kiye unhein ham

Dekh kar tujhko yakeen hota hai -2
Koi itna bhi haseen hota hai
Dekh paate hain kahan ham tumko dil kahin hosh kahin hota hai
jab saamne tum
hm mm, hm mm mm mm

Ho jab saamne tum, aa jaate ho
Kya jaaniye kya ho jaata hai
Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai
Kya jaaniye kya ho jaata hai

hm mm mm mm mm mm, hm mm mm mm mm
ha haa haa haa, ho
hm mm, hm mm mm mm -2

Aa kar chale na jaana, aise nahin sataana
De kar hansi labon ko, aankhon ko mar rulaana
Dena na beqaraari dil ka karaar ban ke
Yaadon mein kho na jaana tum intezaar ban ke, intezar ban ke


Bhool kar tumko na jee payenge -2
Saath tum hogi jahan jayenge
Ham koi waqt nahin hain hamdam
Jab bulaaoge chale aayenge
hm mm, hm mm mm mm -2
jab saamne tum
hm mm, hm mm mm mm

Haa haa jab saamne tum, aa jaate ho
Kya jaaniye kya ho jaata hai
Kuchh mil jaata hai, kuchh kho jaata hai
Kya jaaniye kya ho jaata hai
hm mm, hm mm mm mm -5

Jaate Jaate Wo Mujhe - Jagjit Singh

Jaate jaate vo mujhe achchhi nishaani de gayaa -2
umr bhar dohraaoongaa aisi kahaani de gayaa
jaate jaate vo mujhe achchhi nishaani de gayaa

Us se main kuchh paa sakoon aisi kahaan ummeed thi -2
Gham bhi vo shaayad baraaye meharbaani de gayaa -2
umr bhar dohraaoongaa aisi kahaani de gayaa
jaate jaate vo mujhe achchhi nishaani de gayaa

Sab havaayen le gayaa mere samandar ki koi -2
aur mujhko ek kashti baadbaani de gayaa -2
umr bhar dohraaoongaa aisi kahaani de gayaa
jaate jaate vo mujhe achchhi nishaani de gayaa

Khair main pyaasaa rahaa, par usne itnaa to kiyaa -2
meri palkon ki qataaron ko vo paani de gayaa -2
umr bhar dohraaoongaa aisi kahaani de gayaa
jaate jaate vo mujhe achchhi nishaani de gayaa...

Hosh walon Ko - Jagjit Singh

Hosh walon Ko Khabar Kya Bekhudi Kya Cheez Hai
Ishq Kije Phir Samajhiye Zindagi Kya Cheez Hai
Hosh walon Ko Khabar Kya...

Unse Nazrein Kya Mili Roshan Fizayen Ho Gayi
Aaj Jaana Pyar Ki Jaadugari Kya Cheez Hai
Ishq Kije Phir Samajhiye...

Khulti Zulfon Ne Sikhayi Mausamon Ko Shayari
Jhukti Aankhon Ne Bataya Maikashi Kya Cheez Hai
Ishq Kije Phir Samajhiye...

Hum Labon Se Keh Na Paye Unse Haal-E-Dil Kabhi
Aur Voh Samjhe Nahin Yeh Khamoshi Kya Cheez Hai
Ishq Kije Phir Samajhiye...

Honton se chhoo Lo Tum - Jagjit Singh

Hm mm mm mm, hm hm hm hm hm hm hm
Honton se chhoo lo tum
Mera geet amar kar do - 2
Ban jaao meet mere
Meri preet amar kar do
Honton se chhoo lo tum
Mera geet amar kar do...

Na umr ki seema ho
Na janm ka ho bandhan - 2
Jab pyaar kare koi
To dekhe keval mann
Nayi reet chalaakar tum
Yeh reet amar kar do - 2

Aakaash ka soonapan
Mere tanha mann mein - 2
Paayal chhankaati tum
Aa jaao jeevan mein
Saansein dekar apni
Sangeet amar kar do
Sangeet amar kar do
Mera geet amar kar do....

Jag ne chheena mujhse
Mujhe jo bhi laga pyaara - 2
Sab jeeta kiye mujhse
Main har dam hi haara
Tum haarke dil apna
Meri jeet amar kar do - 2
Honton se chhoo lo tum
Mera geet amar kar do.......

Chithi na koi sandesh - Jagjit Singh

Kanha Tum Chale Gaye.....: (
Chithhi na koi sandesh…
Ho… chithhi na koi sandesh
Jaane woh kaun sa desh jaha tum chale gaye
Chithhi na koi sandesh
Jaane woh kaun sa desh jaha tum chale gaye
Chithhi na koi sandesh
Jaane woh kaun sa desh jaha tum chale gaye
Jaha tum chale gaye
Is dil pe laga ke thhes jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye...

Ek aah bhari hogi hamne na suni hogi
Jaate jaate tumne awaaz to di hogi
Har waqt yehi hai gham, us waqt kaha the hum
Kaha tum chale gaye
Chithhi na koi sandesh jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye jaha tum chale gaye
Is dil pe laga ke thhes jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye...

Har cheez pe ashkon se likha hai tumhaara naam
Ye raste ghar galiyaan tumhe kar na sake salaam
Hai dil mein reh gayi baat, jaldi se chhuda kar haath
Kaha tum chale gaye
Chithhi na koi sandesh jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye jaha tum chale gaye
Is dil pe laga ke thhes jaane woh kaun sa desh
Jahan tum chale gaye...

Ab yaadon ke kaante is dil mein chubhte hain
Na dard thhaherta hai na aanson rukte hain
Tumhe dhhundhh raha hai pyaar, hum kaise karein iqraar
Kaha tum chale gaye
Chithhi na koi sandesh jaane woh kaun sa desh
Jaha tum chale gaye jaha tum chale gaye
Is dil pe laga ke thhes jaane woh kaun sa desh
Jahan tum chale gaye...
Ho kahan tum chale gaye
kahan tum chale gaye 
Ho kahan tum chale gaye ...

Bahut khoobsurat hai - Jagjit Singh

Bahut khoobsurat hai aankhen tumhaari -2
Agar ho inaayat, eh jaan-e-mohabbat
Bana dijiye inko kismat hamaari
Bahut khoobsurat hai aankhen tumhaari

(Jo sab se juda hai woh andaaz ho tum
Chhupa tha jo dil mein wohi raaz ho tum) -2
Tumhaari nazaakat bani jab se chaahat
Sukun ban gayi hai har ek beqaraari
Bahut khoobsurat hai aankhen tumhaari

(Na the jab talak tum hamaari nazar mein
Na tha chaand shab mein, na suraj saher mein) -2
Tumhaari ijaazat tumhaari hukumat
Ye saara gagan hai ye dharti hai saari
Bahut khoobsurat hai aankhen tumhaari -2
Agar ho inaayat, eh jaan-e-mohabbat
Bana dijiye inko kismat hamaari
(Bahut khoobsurat hai aankhen tumhaari
Khoobsurat hai aankhen tumhaari) -2

Monday 16 April 2012

Badi Nazuk Hai - Jagjit Singh

Badi naazuk hai ye manzil, mohabbat ka safar hai -2
Dhadak aahista se, eh dil -2
Mohabbat ka safar hai
Badi naazuk hai ye manzil, mohabbat ka safar hai

Koyi sun le na ye qissa, bahot darr lagta hai -2
Magar darr hi se kya haasil -2
Mohabbat ka safar hai
Badi naazuk hai ye manzil, mohabbat ka safar hai

Bataana bhi nahin aasaan, chhupaana bhi kathhin hai -2
Khud aaya kis qadar mushkil -2
Mohabbat ka safar hai
Badi naazuk hai ye manzil, mohabbat ka safar hai

Oh…
Ujaale dil ke phaile hain, chale aao na jaanam
Chale aao... na jaanam
Bahot hi pyaar ke qaabil -2
Mohabbat ka safar hai
Badi naazuk hai ye manzil, mohabbat ka safar hai -2
Dhadak aahista se eh dil, eh dil, eh dil
Mohabbat ka safar hai
Badi naazuk hai ye manzil, mohabbat ka safar hai

Aisi Aankhen Nahin Dekhi- Jagjit Singh

Aisi Aankhen Nahin Dekhi
Aisi Aankhen Nahin Dekhi
Aisa Kajal Nahin Dekha
Aisa Jalwa Nahin Dekha
Aisa Chehra Nahin Dekha

Jab Yeh Daaman Ki Hawan De
Aag Jungle Mein Laga De
Jab Yeh Sehrao Mein Jaaye
Ret Mein Phool Khilaye
Aisi Duniya Nahin Dekhi
Aisa Manzar Nahi Dekhi
Aisa Aalam Nahi Dekha
Aisa Dilbar Nahin Dekha
Uske Kangan Ka Khalakna
Jaise Bulbul Ka Chehakna
Uske Pazeb Ki Cham Cham
Jaise Barsaat Ka Mausam

Aisa Sawan Nahi Dekha
Aisi Baarish Nahi Dekhi
Aisi Rimjhim Nahin Dekhi
Aisi Khwahish Nahi Dekhi
Uski Bebaad Se Baatein
Jaise Sardi Ki Ho Raatein
Uff Yeh Tanhai Yeh Masti
Jaise Toofan Mein Kashti

Miti Koyal Si Hai Boli
Jaise Geeton Ki Rangoli
Sukh Gaalon Pe Pasina

Jaise Phagun Ka Mahina
Aisi Ankhen Nahi Dekhi
Aisa Kajal Nahi Dekha
Aisa Jalwa Nahi Dekha
Aisa Chehra Nahi Dekha

Kal chaudhvin ki raat thi- Ghulam Ali

Kal chaudhvin ki raat thi 
Shab bhar raha charcha tera 
Kuch ne kaha yeh chaand hai
Kuch ne kaha chehra tera 

Hum bhi vahin maujood the
Humse bhi sab poochha kiye 
Hum hass diye hum chup rahe
Manzoor tha parda tera 

Is sheher mein kisse mile
Humse to chhooti mehfilein 
Har shaks tera naam le
Har shaks deewana tera 

Koonche ko tere chhodkar 
Jogi hi ban jaaye magar 
Jungle tere parbat tere
Basti teri sahera tera 

Bedard sunni ho to chal 
Kehta hai kya achchhi ghazal 
Aashiq tera ruswaan tera 
Shaayar tera inshaa tera

Dil hii to hai - Mirza Ghalib


On Request Of Mr. Manish 
Dil hii to hai na sang-o-Khisht dard se bhar na aaye kyuuN
roenge ham hazaar baar koii hamen sataaye kyuuN
sang : stone
Khisht :brick
dair nahiin haram nahiin dar nahiin aastaaN nahiin
baiThe hain rahaguzar pe ham Gair hamen uThaaye kyuuN
dair : temple
haram : mosque
dar : gate 
aastaaN : doorstep
qaid-e-hayaat-o-band-e-Gam asl men donon ek hain
maut se pahale aadamii Gam se najaat paaye kyuuN
qaid-e-hayaat : prison of life 
band-e-Gam : bindings/chains of sorrow
najaat : freedom/liberation
haaN vo nahiin Khudaaparast, jaao vo bevafaa sahii
jisako ho diin-o-dil aziiz, usakii galii men jaaye kyuuN
Khudaaparast : follower of Khuda=Muslim
diin-o-dil : religion/faith and heart
aziiz : dear
“Ghalib”-e-Khastaa ke baGair kaun se kaam band hain
roiie zaar-zaar kyaa, kiijie haaye-haaye kyuuN
Khastaa : wretched
zaar-zaar : weep bitterly
dil hii to hai na sang-o-Khisht dard se bhar na aaye kyuuN
roenge ham hazaar baar koii hamen sataaye kyuuN
sang : stone
Khisht :brick
dair nahiin haram nahiin dar nahiin aastaaN nahiin
baiThe hain rahaguzar pe ham Gair hamen uThaaye kyuuN
dair : temple
haram : mosque
dar : gate 
aastaaN : doorstep
qaid-e-hayaat-o-band-e-Gam asl men donon ek hain
maut se pahale aadamii Gam se najaat paaye kyuuN
qaid-e-hayaat : prison of life 
band-e-Gam : bindings/chains of sorrow
najaat : freedom/liberation
haaN vo nahiin Khudaaparast, jaao vo bevafaa sahii
jisako ho diin-o-dil aziiz, usakii galii men jaaye kyuuN
Khudaaparast : follower of Khuda=Muslim
diin-o-dil : religion/faith and heart
aziiz : dear
“Ghalib”-e-Khastaa ke baGair kaun se kaam band hain
roiie zaar-zaar kyaa, kiijie haaye-haaye kyuuN