Sunday, 15 April 2012

Apni Tasveer Ko - Ghulam Ali

Apni tasvir ko aankhon se lagaata kya haiik nazar meri taraf bhi tera jaata kya hai

Meri rusvaayi mein wo bhi hain baraabar ke shariqmere qisse mere yaaron ko sunaata kya hai

Paas rah kar bhi na pahachaan saka tu mujhakoduur se dekh ke ab haath hilaata kya hai

Umr bhar apne girebaan se ulajhane waaletu mujhe mere hi saaye se daraata kya hai

Main tera kuchh bhi nahin huun magar itana to batadekh kar mujhako tere zahan mein aata kya hai

Safar-e-shauq mein kyuun kaanpate hain paanv tereduur se dekh ke ab haath hilaata kya hai

Mar gaye pyaas ke maare to utha abr-e-karambujh gayi bazm to ab shamma jalaata kya hai..



No comments:

Post a Comment