Monday, 16 April 2012

Awaaragi - Ghulam Ali

Ye dil ye paagal dil mera
ye dil ye paagal dil mera
Kyon bujh gaya awaaragi
ye dil ye paagal dil mera
Kyon bujh gaya awaaragi

is dast mein ek shaher tha(2)
wo kya hua awaargi
ye dil ye paagal dil mera

Kal shab mujhe be-shakl ki awaaz ne chaunka diya
mein ne kaha tu kaun hai(2)
usne kaha awaargi
is dasht mein ek shahr tha(2)
wo kya hua awaargi
ye dil ye paagal dil mera

Ye dard ki tanhaiyaan(2)
ye dasht ka veeran safar
hum log to ukta gaye(2) 
apni suna awaargi
is dasht mein ek shahr tha(2)
wo kya hua awaaragi
ye dil ye paagal dil mera

Ek ajnabi jhonke ne jab poochha mere ghum ka sabab(2)
sehra ki bheegi reth par(2)
maine likha awaargi
is dasht mein ek shahr tha(2)
wo kya hua awaaragi
ye dil ye paagal dil mera

Kal raat tanha chaand ko dekha tha maine khwaab mein(2)
mohsin mujhe raas ayegi(2)
shayed sada awaargi
ye dil ye paagal dil mera
Kyon bujh gaya awaargi
is dasht mein ek shahr tha
wo kya hua awaargi

ye dil ye paagal dil mera
Kyon bujh gaya awaaragi...

1 comment:

  1. Need a Hindi meaning for this heart touching ghazal :


    dil hi to hai na sang-o-khisht dard se bhar na aye kyun
    roenge ham hazar bar koi hamein sataye kyun

    dair nahi haram nahi dar nahi astan nahi
    baithe hain rahguzar pe ham gair hamein uthaye kyun

    jab wo jamal-e-dilfaroz, surat-e-mahr-e-nimaroz
    ap hi ho nazrasoz, parde mein munh chupaye kyun

    dashna-e-gamza jansitan, nawak-e-naz bepanah
    tera hi aks-e-rukh sahi, samane tere aye kyun

    qaid-e-hayat-o-band-e-gam asl mein donon ek hain
    maut se pahle admi gam se najat paye kyun

    husn aur us pe husn-e-zan rah gai bulahawas ki sharm
    apne pe etimad hai gair ko azamaye kyun

    wan wo guroor-e-izz-o-naz yan ye hijab-e-pas waza
    rah mein ham milen kahan, bazm mein wo bulayen kyun

    han wo nahi khudaparast, jao wo bewafa sahi
    jisko ho din-o-dil aziz, us ki gali mein jaye kyun

    "ghalib"-e-khasta k bagair kaun se kam band hain
    roie zar-zar kya, kijie haye-haye kyun

    ReplyDelete