Monday 16 April 2012

Dil mein ek laher-Ghulam Ali

Dil mein ek laher si uthi hai abhi (2)
Koi taaza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si uthi hai abhi

Shor barpa hai khana-e-dil mein(2)
koi deewar si giri hai abhi (2)
koi taza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si uthi hai abhi

Kuchh to nazuk mizaaj hain hum bhi (2)
aur ye chote bhi nayi hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si uthi hai abhi

Yaad ke be-nishaan jazeeron se(2)
teri awaaz aa rahi hai abhi(2)
koi taza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si utthi hai abhi

Shehar ki be-charaagh galiyon mein(3)
zindagi tujh ko dhoondti hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi
Dil mein ek laher si uthi hai abhi

2 comments: