Saturday 14 April 2012

Chupke Chupke -Ghulam Ali Sahab



Oh oh oh, aah aah, oh oh oh, oh ho ho
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai - 2
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai...

Khench le na voh mera parde ka kona daffatan - 2
Aur dupatte se tera voh munh chhupaana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai...

Berukhi ke saath sunna darde dil ki daastan-2 
Woh kalai main tera kangan ghumana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka woh zamana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai...

Waqte ruksat alvida ka lafz kehne ke liye-3 
Woh tere sookhe labon ka thar tharana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka woh zamana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai...

aagaya kal wasl kee shab bhee kahi zikr-e-firaaq-2 
Woh tera ro ro ke bhi mujhko rulana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka woh zamana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai...

Do paher ki dhoop mein mere bulaane ke liye - 2
 Voh tera kothe pe nange paaon aana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai....

ba hazaran istirabo sad hazaraan ishteyaque - 2 
Tujhse vo pehle pehel dil ka lagana yaad hai
Humko ab tak aashiqui ka voh zamaana yaad hai
Chupke chupke raat din aansu bahaana yaad hai....

Hm mm mm hm, aah aah, mm mm mm mm, mm mm mm hm mm

No comments:

Post a Comment