Friday 20 April 2012

Khumari chad ke utar gayi - Jagjit Singh

Khumari chad ke utar gayi
zindagi yun hi gujar gayi - 2
kabhi sote sote kabhi jaagte
khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
apni toh saari umar gayi - 2
khumari chadh ke utar gayi
zindagi yun hi gujar gayi

Rangeen bahaaron ki khwaahish rahi
haath magar kutch aaya nahi - 2
kehne ko apne the saathi kai
saath kisine nibhaya nahi - 2
koi bhi hamsafar nahi 
kho gayi har dagar kahi
kabhi sote sote kabhi jaagte
khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
apni toh saari umar gayi - 2
khumari chadh ke utar gayi
zindagi yun hi gujar gayi

Logon ko aksar dekha hai
ghar ke liye rote hue - 2
ham toh magar beghar hi rahe 
gharwalon ke hote hue - 2
aaya apna nazar nahi - 2
apni jahaa tak nazar gayi
kabhi sote sote kabhi jaagte
khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
apni toh saari umar gayi - 2
khumari chadh ke utar gayi
zindagi yun hi gujar gayi

Pehle toh ham sun lete the
shor mein bhi shehnaaiya - 2
ab toh hamko lagti hai 
bheed mein bhi tanhaaiya
jeene ki hasrat kidhar gayi - 2
dil ki kali bikhar gayi
kabhi sote sote kabhi jaagte
khwaabon ke pichhe yu hi bhaagte
apni toh saari umar gayi - 2
khumari chadh ke utar gayi
zindagi yun hi gujar gayi 

No comments:

Post a Comment