Friday, 20 April 2012

Kiska Chehra Ab main Dekhoon - jagjit Singh


"Chaand bhi dekhaPhool bhi dekhaBaadal bijli titli jugnuKoi nahin hai aisaTera husn hai jaisaTera husn hai jaisa"

Meri nigaah ne ye kaisa khwaab dekha hai
Zameen pe chalta hua mahathab dekha hai

Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Kiska chehra
Kiska chehra ab main dekhoon 
Tera chehra dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar

Neend bhi dekhi
Khwaab bhi dekha
Neend bhi dekhi
Khwaab bhi dekha
Choodi bindiya darpan khushboo
Koi nahin hai aisa
Tera pyaar hai jaisa
Tera pyaar hai jaisa

Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Kiska chehra
Kiska chehra ab main dekhoon 
Tera chehra dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar

Rang bhi dekha
Roop bhi dekha
Rang bhi dekha 
Roop bhi dekha
Rasta manzil saahil mehfil
Koi nahin hai aisa
Tera saath hai jaisa
Tera saath hai jaisa

Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar
Kiska chehra
Kiska chehra ab main dekhoon 
Tera chehra dekhkar
Meri aankhon ne chuna hai tujhko duniya dekhkar

Bahut khoobsuat hai aankhein tumhaari
Bana dijiye inko kismat hamari
Usay aur kya chaahiye zindagi mein
Jise mil gayi mohabbat tumhari 

No comments:

Post a Comment