Monday 16 April 2012

Kal chaudhvin ki raat thi- Ghulam Ali

Kal chaudhvin ki raat thi 
Shab bhar raha charcha tera 
Kuch ne kaha yeh chaand hai
Kuch ne kaha chehra tera 

Hum bhi vahin maujood the
Humse bhi sab poochha kiye 
Hum hass diye hum chup rahe
Manzoor tha parda tera 

Is sheher mein kisse mile
Humse to chhooti mehfilein 
Har shaks tera naam le
Har shaks deewana tera 

Koonche ko tere chhodkar 
Jogi hi ban jaaye magar 
Jungle tere parbat tere
Basti teri sahera tera 

Bedard sunni ho to chal 
Kehta hai kya achchhi ghazal 
Aashiq tera ruswaan tera 
Shaayar tera inshaa tera

3 comments: